This is a naat. And it is amazing. I have done the lyrics and will put up youtube links too.

Raat Ki Teeragi

Lyrics:

ya khuda jism mein jab tak ye mere jaan rahe
Tujh pe sadqe tere mehboob pe qurban rahe
kuch rahe ya na rahe par ye dua hai ke ameer
niza ke waqt salamat mera imaan rahe

meri chashm e alam nam naak kar de
mujhe aalaashio se paak kar de
mujhe kuch bhi nahi darkaar ya Rab
ghulam e sayyid e lolaak kar de

Taazeem se leta hai Khuda naam e Muhammed (saw)
kiya naam hai ae Salle Alaa naam e Muhammed (saw)
Allah kare us pe haram aatish e dozakh
jis shakhs ke dil pe ho likha naam e Muahmmed (saw)

Rab ne farmaiya meri qudrat ki had koi nahi
aur mere mehboob ki rehmat ki had koi nahi
jab malak samjhe nahi to aadmi samjhe ka kiya
Aamna ke laal ki azmat ki had koi nahi

Dard e issiyan se riha hone ka chaara maango
mangane walo Muhammed (saw) ka sahara maango

Raag ki teeragi se na mayoos ho
Raag ki teeragi se na mayoos ho

Raag ki teeragi se na mayoos ho roshni ka sitara nazar aaye ga
Raag ki teeragi se na mayoos ho roshni ka sitara nazar aaye ga

Raag ki teeragi se na mayoos ho roshni ka sitara nazar aaye ga
Jab Muhammed (saw) safeenay ke hain nakhuda to bhanwar mein kinara nazar aaye ga

Doob sakta nahi toofano ki tughiaani mein
jis ki kashti ho Muhammed (saw) ki nighebaani mein

Jab Muhammed (saw) safeenay ke hain nakhuda to bhanwar mein kinara nazar aaye ga
Jab Muhammed (saw) safeenay ke hain nakhuda to bhanwar mein kinara nazar aaye ga

Mere haami hain Ghaus aur Khawaja piya
Mere haami hain Ghaus aur Khawaja piya

Mere haami hain Ghaus aur Khawaja piya hain madadgaar mere shah e anmbiya
Ye ghulam inn sahaaro ke hote hue kis tarah besahara nazar aaye ga

(Raag)

Ye ghulam inn sahaaro ke hote hue kis tarah besahara nazar aaye ga
Ye ghulam inn sahaaro ke hote hue kis tarah besahara nazar aaye ga

Ae farishto wo sultan e mairaaj hain tum jo dekho gay hairaan ho jao gay
Zulf tafseer e walail ban jaye gi chehra Quran sara nazar aaye ga

Unn ka chehra Quran
Unn ka chehra Quran

Wallail zulf Wadhuhaa mukhra Washams odhi paishaani ay
odhe modday kali kamli ay aiho yaar mere di nishani ay

Unn ka chehra Quran
Unn ka chehra Quran

Washams rukh e zaibaa unn ka wo noor fishaan e aalam hai
wallail hai unn ki zulf e dotaa wo rahat e jaan e aalam hai

Unn ka chehra Quran
Unn ka chehra Quran

Zulf tafseer e walail ban jaye gi chehra Quran sara nazar aaye ga
Zulf tafseer e walail ban jaye gi chehra Quran sara nazar aaye ga

Jab gunahgaar mein mehshar mein ghabraain gain koi ghamkhawar apna nahi paye gain
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue Aamna ka dulaara nazar aaye ga

Kali kamli ko kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue

Gunahgaaro na ghabraao na ghabraao wo aa gaye Muhammed (saw)

kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue

Hazaaron saal raha arsh par khuda ho kar
utar parra wo Madinay mein Mustafa ho kar

kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue

wo aa gaye Muhammed (saw) Kali kamli ko kaandhe pay daale hue

Kali kamli ko kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue

Tori har har ada ko main jaan gayi re
Tori har har ada ko main jaan gayi re

Tori har har ada ko main jaan gayi re
mora dil kiya gaya mori jaan gayi re
tu to aaya kamilia ko orray hue
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

Dono ki shakl aik hai hairaa hoon kiya kahoon
inn ko khuda kahoon ya Khuda ko Khuda kahoon

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

(raag)

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

Husn ki ibtida bhi tum ishq ki intiha bhi tum
rehna do raaz khul gaya bande bhi tum Khuda bhi tum

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

Jab se suna hai yaar libaas e bashr mein hai
ab aadmi kuch aur hamari nazar mein hai

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

Bol rahi hain saaf saaf aap ki saari sifatain
Arsh pay kibriya bhi tum farsh pay mustafa bhi tum

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

(raag)

roop badle to kiya main pehchaan gayi re
roop badle to kiya main pehchaan gayi re

Kali kamli ko kaandhe pay daale hue
Kali kamli ko kaandhe pay daale hue

Kali kamli ko kaandhe pay daale hue Aamna ka dulaara nazar aaye ga

Sab gunmbad ki jab deed ho jaye gi phir to Farhat ki bhi eid ho jaye gi
Ya Muhammed (saw) bulao gay qadmon mein kab aap ka kab nazara nazar aaye ga

Raag ki teeragi se na mayoos ho roshni ka sitara nazar aaye ga